रघुनन्दन आ गए राघव जी आ गए

रघुनन्दन आ गए राघव जी आ गए
raghunandan aa gaye raghav ji aa gye bhajan lyrics
Ragunandan aa gye
Doha
Ram naam lene ka anand
Aur bhi badh gaya
Sabke sar mere Ram ki bhakti ka
Rang chadh gaya
Beet gaya vanvaas Prabhu ka
Aur sabke man harsha gye
Saj dhaj kar mere Ramlala
Apne mandir mein aa gye
Naino ke raste sabke
Man mein sama gye
Ragunandan aa gye
Raghav ji aa gye
Saari duniya par mere
Raghav hi chha gye
Ragunandan aa gye
Raghav ji aa gye
Varshon se tarse jisko
Wo shubh din aa gaya
Saccha sukh Ram naam ka
Jeevan mein aa gaya
Mangal badhaai mere
Raghav batwa rahe
Ragunandan aa gye
Raghav ji aa gye
Swarn singhasan upar
Thade Prabhu Ramlala
Hathon mein dhanush baan le
Muskuraye Ramlala
Meethi muskaniya se wo
Chit chura gye
Ragunandan aa gye
Raghav ji aa gye
Pyaase pyaase naino ke
Naina abhiram hai
Hriday mein basne wale
Jan jan ke Ram hai
Nainamrit bhar naino se
Amrit barsa rahe
Ragunandan aa gye
Raghav ji aa gye
Ab mere Ram kabhi bhi
Van ko na jaayenge
Ram ka yah Bharat mere
Ram hi chalayenge
Khushiyon ke aansu sabki
Aankhon mein aa gye
Ragunandan aa gye
Raghav ji aa gye
Naino ke raste sabke
Man mein sama gye
Ragunandan aa gye
Raghav ji aa gye
Saari duniya par mere
Raghav hi chha gye
Ragunandan aa gye
Raghav ji aa gye