Lyrics

ऐसा कहते है सब लोग की जादू भरी पद रज है तुम्हारी

image

ऐसा कहते है सब लोग की जादू भरी पद रज है तुम्हारी

aisa kehte hai sab log ki jaadu bhari lyrics

Aisa kahte hai sab log ki  
Jaadu bhari pad raj hai tumhari  

Doha  
Aagya paayi Nishad ne  
Kevat liyo bulaaye  
Par Kevat ne Ram ko  
Di yah maang sunaaye  
Pehle charan pakhaarunga  
Unki raj ko jhaadunga  
Paan karunga charanamrit  
Naav pe tab baithaunga  

Aisa kahte hai sab log ki  
Jaadu bhari pad raj hai tumhari  
Is pad raj ka sparsh hua to  
Maun shila bani sundar naari  
Mere paas hai bas ek naiya  
Mere paas hai bas ek naiya  
Saare kutumb ki paalanhaari  
Naav bani yadi naar to aayega  
Mujh nirdhan pe sankat bhaari  
Ek naari ka kathin hai paalan  
Kaise paaloonga do do naari  

Kevat Prabhu ke paan pakharan  
Hetu kathauti mein jal bhar laya  
Paan pakhaar piya charanamrit  
Phir Prabhu ko nauka mein bithaya  
Ganga paar pahunch kar jab  
Ganga paar pahunch kar jab  

Utraai dene ka avsar aaya  
Dene lagi Vaidehi anguthi  
To naa mein sar Kevat ne hilaya  
Dene lagi Vaidehi anguthi  
To naa mein sar Kevat ne hilaya  

Suno meri vinti Ram Sarkaar  
Ram Sarkaar Siya Sarkaar  
Nai dhobi dheever Kevat  
Aur luhaar sunaar  

Ek dooje se le na majdoori  
Jinka ek vyapaar  
Main nadiya ka Kevat  
Tum bhavsagar taaranhaar  
Ram Prabhu meri majdoori  
Tum par rahi udhaar  
Aaoon main jab ghaat tumhaare  
Aaoon main jab ghaat tumhaare  
Kar deejo beda mera paar  
Suno meri vinti Ram Sarkaar  
Ram Sarkaar Siya Sarkaar  

Kevat ne jo maangi utraai  
Man hi man pran kiya Raghuraai  
Utraai avashya chukaani hai  
Ye Ramayan Shri Ram ki  
Amar kahaani hai  
Ye Ramayan Shri Ram ki  
Amar kahaani hai  

Kevat ko vachan dekar  
Muskurate hue vida lekar  

Siya sahit van maarg par  
Chal diye yugal Kishor  
Ho liya sang Nishad bhi  
Bandha neh ki dor  

Saanuj Siya sahit Raghunandan  
Ganga ji ka karke vandan  
Bharadwaj ke ashram aaye  
Muni ko vinay pranaam janaaye  

Rishi ne Prabhu ko hriday lagaya  
Akathniya paramaanand paaya  
Kushal poochh aasan baithaare  
Pad poojat muni bhaye sukhare  

Kand mool phal paras kar  
Ati prasann Rishiraaj  
Dhyaan gyaan jap yog tap  
Safal bhaye sab aaj  

Kar muni se satsang Prabhu  
Kiya tahaan ren pravaas  
Tangla avastha mein hua  
Adhyatmik abhaas  

Praat nahaaye punya Triveni  
Sarita tray mud mangal deni  
Ram Prayaag mahaatm bakhana  
Teertheshwar yah saras suhana  

Naam Prayaag yagya hue aganit  
Kan kan mantro se anugunjit  
Teertheshwar ki mahima gaakar  
Ashram mein puni aaye Raghuvar  

Subhaashish Muniraj se  
Maang rahe Jagdhish  
Poochh rahe vanwaas ko  
Jaaye kahaan Munish  

Muni bole tummein jagat basa  
Tum vidyamaan sarvatra sadaa  
Tumko kya raah sujhaani hai  
Ye Ramayan Shri Ram ki  
Amar kahaani hai  
Ye Ramayan Shri Ram ki  
Amar kahani hai

Disclaimer

The bhajangeet lyrics displayed here are provided for educational and devotional purposes only. We deeply respect all artists, composers,writers and spiritual contributors. We do not promote copyright infringement.

If you enjoy these bhajans, please support the original creators by purchasing or streaming the music through legal platforms like YouTube Premium, Gaana, JioSaavn, iTunes, etc.

If any copyright owner has concerns regarding the content shared, please contact us at contact@bhajangeet.in. We assure you a response within 48 hours.